Tuesday, November 11, 2008

Jaane Kyun Aaj Ye Dil Udaash Hai ....

Na Jaane Kyun Ye Dil Aaj Udaash hai
Ab Tak Tha Bewajah Bhatakta
Na Jaane Kyun Aaj Ise Manjil ki Talaash hai
Ab Tak Tha Ek Yahi Mera Humraaz
Par Na Jaane Kis Wajah Ise Mujhse Chhupane ki Wajah Ki Talaash hai
Jaane Kyun Aaj Ye Dil Udaash Hai ..........

Hai Mahfil Rangeen aur sama Khushmizaaj hai
Shayad aaj Phir ise us Humsafar ki Talassh hai
Wo Chhod Gaya Tha Iska Saath
Kyun Aaj Phir Ise Usi Musafir Ki Talash hai
Dost Hain Charoon Taraf kahne ko
Magar Ise To Aaj Phir Usi Ajnabi ki Talaash hai
Wo Na Aayega kah kar Gaya tha
To Phir kyun Ise Usi ki Talaash hai
Jaane Kyun Aaj Ye Dil Udaash Hai ..........

Maan Leta Hoon Ye Khusiyaan ke Pal Jhoothe Hain
Par Kyun Ise Mere Gham Se Ikraar hai
Chupa Leta hoon Main Jab Apni Aankhon ki Budein
To Phir Kyun Ise Meri Muskurahat Se Aitraaz hai
Jab Jhutla Sakta hoon Main Khud Se Hi Apne Khwaab
To Phir Ise Kyun Sachchaai Ki Talaash hai
Jaane Kyun Aaj Ye Dil Udaash hai ........

Maan Loonga Ki Meri Ye Hasi Jhuthi hai
Aur Ye Doston Ki Mahfil bhi Begaanon Se Bhari Hai
Maan Loonga Ki Yahaan Koi Mera Nahi hai
Aur Ye Mere Aashoon Hain Meri Aankhon Ki Nami Nahi HAi
Par Kya Isse Iska Wo Humsafar Laut Aaega
Nahi Aaya hai Na Wo Aaega
Phir Kyun Ise Usi Bewafa Ki Talaash hai

Jaane Kyun Aaj Ye Dil Udaash hai .................
Jaane Kyun Aaj Ye Dil Udaash hai .................

1 comment:

  1. kuchh likha hai dandy boss....
    ye rog kabse lag gaya aapko ??
    kown hai woh khooshnasib jisko aapki talaash hai ??

    ReplyDelete