Kuch aashuon aur kuch yaadon se
Simta hai mera wo aashiyaana khawaabon ka .......
De sakta hoon sub kuch tumko
Par mat chhino mujhse mera wo aashiyaana khawaabon ka .......
Ab paane ki koi umeed nahi
Phir bhi khone se main darta hoon ........
Har din Har pal Har ghadi main
Use hi paane ko tadpata hoon ........
Na mile to Andaaz nahi mera shikayat ka
Par mat chhino mujhse mera wo aashiyaana khawaabon ka .......
Zindagi ki daud se
Aksar thak jata hoon main .........
Khawaabon me rah ke hi to
Ab jee pata hoon main .........
Jab kahta hoon kisi se to
Khud hi ruk jata hoon main .....
Na lekar bhi Tera Naam
Badnaam ho jata hoon main ......
Afshosh nahi karta hoon main us Jillat ka
Par mat chhino mujhse mera wo aashiyaana khawaabon ka .......
Sunday, April 8, 2007
Mera Wo Ashiyaana Khawabon Ka .........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
waah dandy..kuch GODDAPA hai aapka...
ReplyDeleteyo shetty ....kuchhhhhhh likha hai bhai
ReplyDeleteWAAAAAHHHHHHHHHHH
ReplyDeleteWAAAAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHHHH
WAAAAAAAAAAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHHHHHHH
kya likha hai mazaa aa gaya...
kuch machaya hai dandy bhai......
ReplyDeletedil khush ho gaya.
yo dandy ... macha diye guru ... teri ye kalaa to humlogo ko kabhi pata hi nahi chal paayi thi .
ReplyDeletebhai gazzab!!!