Kya Hoti Dosti Ki Maryada
Kya Hoti Jeene Ki Aas
Kya Hoti Mrityu Ki Pyaash
Mujhko Ye Samjhaana Tum...
Lafzon Me Kah Jana Tum, Aankon Se Batlana Tum
Kya Hoti Sapnon Ki Raunak
Kya Hote Hain Din Ke Khwaab
Kyun Hoti Udane Ki Chahat
Kyun Hota Khone Ka Darr
Mujhko Ye Samjhana Tum
Aankon Se Batlaana Tum , Isaaron Se Kah Jana Tum
Kyun Hoti Manzilein Jaruri
Kyun Hoti Khushiyaan Adhuri
Kya Hota Jeene Ka Gham
Kya Hoti Marne Ki Khushi
Mujhko Ye Samjhaana Tum...
Isaaron Se Kah Jana Tum, Mere Khwaabon Me Likh Jana Tum
Kaise Hote Hain Dil Ke Raaz
Kaisi Lagti Hai Dil Ki Aag
Kaisa Lagta Kisi Ke Dil Me Samana
Kaisa Lagta Kisi Ke Khawaabon Me Aana
Mujhko Ye Samjhaana Tum...
Khaawon Me Likh Jana Tum, Par Mujhko Ye Samjhaana Tum
