Sunday, April 8, 2007

Mera Wo Ashiyaana Khawabon Ka .........



Kuch aashuon aur kuch yaadon se
Simta hai mera wo aashiyaana khawaabon ka .......
De sakta hoon sub kuch tumko

Par mat chhino mujhse mera wo aashiyaana khawaabon ka .......


Ab paane ki koi umeed nahi

Phir bhi khone se main darta hoon ........

Har din Har pal Har ghadi main

Use hi paane ko tadpata hoon ........
Na mile to Andaaz nahi mera shikayat ka

Par mat chhino mujhse mera wo aashiyaana khawaabon ka .......


Zindagi ki daud se

Aksar thak jata hoon main .........
Khawaabon me rah ke hi to

Ab jee pata hoon main .........
Jab kahta hoon kisi se to

Khud hi ruk jata hoon main .....
Na lekar bhi Tera Naam

Badnaam ho jata hoon main ......

Afshosh nahi karta hoon main us Jillat ka

Par mat chhino mujhse mera wo aashiyaana khawaabon ka .......